Search This Blog

ATM Card Use Karne Ka Tarika Hindi Me ATM Ka Use Kaise Kare


How To Use ATM Card in ATM Machine

How To Use ATM Cash Machine in Pakistan and India?


Aaj ka daur internet ka daur ja raha hai har koi shakhs kisi na kisi tarike say Internet sey connected hai chahe wo koi Smartphone use kar raha ho ya phir koi Wi-Fi Router kay zariye internet chala raha ho. Isi tarah internet kay bohat saray uses hain kafi log Facebook Ki ID bana kar facebook use karte hain aur bohat sari dunya Twitter Par Account bana kar tweet karti hai. Kuch log wifi sey Video Download karte hain aur kuch log internet sey Online Paisa kamate hain to kuch log apne sey door pyaro sey baat karnay ke liye Skype Ki ID bana kar computer par skype use karte hain. Yani kay aaj kal internet har shakhs ki zaroorat ban gaya hai iskay baghair logon ka waqt mushkil sey guzarta hai. Banks mein use hone wali ATM Machine bhi internet sey connected hoti hai aaj main aap ko ATM machine istemal karne ka pura tarika batane ja raha hoon har bank ki ATM Machine ki options mukhtalif hoti hain lekin main koshish karon ga kay aap ko asaan lafzon mein jo ATM Machine zyada use ho rahi hain unkay baray mein step by step samjhaoon agar aap ko kisi cheez ki samajh na aye to aap mujhe contact form ya phir isi post kay nechy comment karke puch sakte hain.

How To Use ATM Machine Step By Step In Hindi How To Use ATM Card In Pakistan In Urdu


ATM Cash withdrawal Method in Urdu/Hindi 

1st Step : ATM Card ko machine kay andar seedha dakhil karen kyun ki kafi log card dalty huay is baat ka dhyan nahin rakhty ATM Card kay upar ek arrow ka nishan jaise ye hai ⏫ is tarah bana hoga
apne isko samne ki taraf karke machine mein daal dena hai.

2nd Step : Machine kay samnay nazar aany wali options ko ghor sey parhen zyada tar ATM Machines mein card dalnay kay foran baad machine card ka PIN ka puchti hai.

3rd Step : Apne PIN enter karne kay liye machine kay neechy nazar aany walay numbers sey apny Card ka PIN jo aapne activate karty huay rakha tha wahi type karna hai.


4th Step : Ab agar ATM machine language ko select karne kay baray mein pooch rahi hai to phir aap ko jo language easy lage aap wo select karen.

5th Step : Language ko select kar lene kay baad aap kay samany kafi options khul jayenge aap nay agar ATM sey cash hasil karna hai to aap Fast Cash ya phir Manual Cash par touch karen.


6th Step : Ab aap cash nikalwany ki amount ko select karen for example 500, 1000, 2000, 3000, 4000, 5000, 6000, 7000, 8000, 9000, 10000 ya agar aap in mein sey koi bhi amount nahin nikalwana chahte to phir Manual Amount apni marzi sey nikalwany kay liye Manual Cash ko select karen aur machine kay keypad kay zariye amount type kar dain.


7th Step : Fast cash ya phir manual cash sey amount select kar leny kay baad  Ab ATM Machine aap sey tasdeeq karne ke liye confirmation message mein YES aur NO puchy gi.



8th Step : Ab aap kay pass 2 options hain agar aap ney puri tasali kay sath apni amount ko select kar liya hai to phir aap YES karenge aur agar aap ko is transaction ki receipt bhi chahiye to phir aap Do You Want a receipt for this transaction? ki option par YES ko touch karenge.

9th Step : ATM Machine ye sara procedure pura karnay kay baad ab aap kay ATM Card ko bahir nikal degi apna ATM Card apny wallet mein daal lijiye uskay baad Cash Tray ki taraf nazar rakhen cash wahin sey bahar ayega.

10th Step : ATM Cash tray sey cash collect kar lene kay baad transaction receipt ka wait karen. Aap ney kamyabi sey transaction kar li hai ab ATM Booth sey bahir nikal jayen warna pichy line mein kharay logon ko aap par intehai gussa ayega 😃.

Post a Comment

 
Top