Search This Blog

How To Create Bootable USB For Windows 7 in Urdu


USB Bootable Kaise Banaye Bootable USB Method

Bootable USB Steps in Urdu/Hindi



Windows Computer ka sab sey ziyada use hone wala OS hai baaz auqat ye Windows kisi masly ya virus ki wajah sey kharab bhi ho jati hai. Kai dafa aisa bhi hota hai kay aap kisi mobile ko apne PC kay sath connect karte hain to Windows bohat slow ho jati hai ye Virus ya Malware hota hai jo aap kay computer ko hang karne ki koshish karta hai. Windows kay baghair PC ko chalana mushkil hota hai kyun ki Linux OS jaise Operating Systems Pakistan aur India mein bohat kam use hote hain puri duniya mein Computer mein sab sey zyada istemal hone wala OS MS Windows he hai. Aaj main apko Computer mein Windows karne ka jo tarika batane ja raha hoon iske zariye aap ko Windows ki CD khareedne ki zarorat nahi paregi agar aap kay Internet available hai aur Data bhi unlimited hai ya required data jaise 3 GB tak apke internet package mein available hai to phir aap direct Internet sey Windows ki ISO Image file ko download karke apne PC mein Windows install kar sakte hain.

How To Make Your USB Bootable In Urdu Tutorial


1st Step :- Sab sey pehly aap apni USB mein majood data save kar lain ye na ho aap ka qeemti data bhi format ho jaye isliye apni USB ka backup bana lain. Backup banane ke baad USB ko format kar dain.


2nd Step :- Sab sey pehle aap Universal USB Installer (UUI) ko download karen aur isay apne PC mein install karen.

3rd Step:-  Ab aap is link par ja kar Windows 7 ka ya phir dusri koi bhi Windows jo aap karna chahte hain uski .ISO File ko Computer mein download kar lain.


4th Step :- ISO file ko download kar leny kay baad aap Universal USB Installer ko open karen aur jahan par likha hua hai select the Linux Distribution from the drop down menu wahan click karke Operating Systems mein sey Windows 7 Installer par click karen.


5th Step :- Ab aap ne jahan par Windows ki image file .ISO file download karke save ki hui hai usay load karne kay liye " Browser " kay button par click karen.


6th Step :- File ko load kar leny kay baad ab aap " Select your USB Flash Drive letter only " list mein sey USB ko select karen.


7th Step :- Ab " Create " waly button par click kar dain UUI par ab progress windows start ho jayegi aur aap ko progress line kay zariye pata chalta jayega ka kay kitni files done ho chuki hai jab done likha aa jaye to aap ok par click kar dain.






8th Step :- Aap ne kamyabi sey Bootable USB bana li hai Windows install karne ke liye Computer ko off karen aur on hone par Motherboard ki settings mein ja kar Bootable Options mein USB ko 1st kar dain ya phir direct USB kay zariye computer ko boot karen boot kay baad aap ki screen par normal CD jesi windows installation start ho jayegi. Agar aap ko ye post achi lagi hai to isay apne friends aur family kay sath share karen aur humare facebook page ko bhi like karen.

Post a Comment

 
Top