Search This Blog

Information Technology Kya Hai?


Technology ne humari life mein kis tarah itni badi tabdeeli lai. Pichle 10 saalon mein jitni iss field mein taraqi hui hai utni dunya k kisi shobay mein progress nahin hui aaj hum log hazaro miles doorbaithee logon se asani se internet connection k zariye jor sakte hain unse bat kar sakte hain ye ijaad kafi purani hai lekin humare asia yani Pakistan aur India mein ye chezen kafi dair baad introduce hui hai jis ki waja se logon ko abhi tak sahi tarah internet ki malomat nahin hai. Aaj log internet se easily paisa kama rahe. Internet ek aisi duniya hai jahan aap koi bhi cheez asani se search kar sakte hain chahe apne koi college ya university ki presentation k silsile mein help lein ho ya phir kisi job per apply karne ke baad interview k tayari karni ho apko har kisam ki help mil sakti hai larkion ke liye jo cooking ya baking etc ka shoq rakhti hain unke recipes cooking baking ki lakho websites majood hain. Ye sab kuch technology ki badaulat he hai k hum saalon ka kaam mahino mein, mahino ka kam hafton mein, hafton ka kaam dino mein, dino ka kaam ghanto mein, aur ghanto ka kuch minutes mein kar lete hain. Nai ijadat ne insani zindagi ko badal kar rakh diya hai ye sab kuch insan k zindagi ko behtar banane ke liye jata hai. aur muje nazar aa raha ha balke ap logon ko bhi mehsoos hota hoga ke insani zindagi bohat tabdeel ho gai hai.

Post a Comment

 
Top