Search This Blog

Urdu Keyboard Software For PC Free Download Urdu Likhna Kaise Sikhe Urdu Kaise Likhe?


Urdu Typing Karne Ka Tarika in Urdu/Hindi

How To Write Urdu Without Inpage


Pakistan aur India mein rehny waly log jo Computer sey bohat lagao rakhty hain aur kuch aisy log bhi hai jo professional work karty hain aur unhen Urdu Typing ki zarorat parti rehti hai. Lekin masla tab hota hai jab hum dekhty hain kay Microsoft Windows mein koi bhi Urdu Language ka software majood nahin Microsoft ki banayi hui kisi bhi windows mein Urdu Typing supported nahin balky ye humain khud he install karni parti hai. Lekin ab Urdu din ba din promote ho rahi hai aur Microsoft ho ya Facebook ho ya Twitter Wikipedia ho ya Google aap ko har jagah Urdu select karne ki option milegi aur hum umeed kar sakte hain kay aany walay chand saalon mein Urdu ko bhi Windows mein officially launch kar diya jaye ga phir humain Urdu Type karne ke liye alag sey koi software karne ki bhi zarorat nahin rahegi inshaAllah.




Urdu kisi bhi Operating System ka hisa nahi rahi kyun ki Urdu janne waly logon ne Urdu ki tarqqi ke liye itna kaam nahin kiya aur Pakistan aur India mein rehny waly log bhi Urdu ki bajaye English ko prefer karte hain. Lekin aaj kal kay Smartphones mein officially taur par majood hai jaise Android OS. Khair ye to thi Urdu se related thori si discussion Computer mein Urdu words likhny ke liye log Inpage install karty hain lekin ab Inpage install kiye baghair bhi Urdu likh sakte hain jee haan bilkul likh sakte hain bas apne ye chota sa software install karna hai aur bas phir aap computer mein easily Urdu type kar sakte hain. ab hum aap ko bataty hain aap apny computer mein aur kisi bhi Windows mein kis tarha Urdu Language ko install aur istemal kar sakte hain.

How To Install Urdu Phonetic Keyboard in Windows XP, 8, 8.1, 10




Step 1 : Sab se pehly aap is Pak Urdu Installer par ja kar Pak Urdu Installer ko apny computer mein kisi bhi Internet Download Manager ya browser kay built in manager se download karen.

Step 2 : Ab aap download kiye huay software ko apny PC mein install karne ke liye download ki hui file ko open karen. Agar aap ney windows 7, 8 ya 8.l install ki hui hai to phir software install karne sey pehle anay wala notification ayega usay aap yes par click kar dain phir software install ho jayega.

Step 3 : Setup finish honay kay baad computer ko restart karne ki option ayegi aap ne computer ko restart karna hai kyun ki windows restart kiye baghair computer mein Urdu sahi tarike say type nahin hogi.

How To Enable Urdu In Windows 7


Step 4 : Jab aap Windows ko on karo gay to windows system tray jahan par date and time likha hota hai uskay sath chota sa language ka button add ho jayega.

Step 5 : Mere computer mein Windows 8 hai jaisa kay aap dekh sakty hain kay main is waqt ENG select ki hui hai aap iss button ko press karke Urdu (Pakistan) select kar dain.


Windows 8.1 Language Switching Option

Step 6 : Ab aap kahin bhi Urdu likhna chahain to phir Typing ke liye keyboard sey kuch button press karen aur check karen Urdu Type ho rahi hai ya nahin agar nahin ho rahi to phir dobara language change karne waly button say Urdu select karen.


Step :7 Aisy Urdu Fonts jo aap newspapers, magazines, news channels tickers par parhty hain usay Jameel Noori Nastaleeq font kehte hain us andaz mein typing karne ke liye aap MS Word ya phir kahin bhi Urdu type karne ke liye MS Word open karen aur Fonts ki list mein ja kar J press karenge to Jameel Noori Nastaleeq Noori samne aa jayega usay select kar dain to aap kay Urdu Fonts same international Urdu Fonts ho jayenge.



How To Write Urdu In Windows 8


Step 8 : Urdu keyboard sey asani mein Urdu words type karne ke liye Phonetic Urdu Keyboard Layout post kar raha hoon isay apny PC mein save kar lain aur jab koi Urdu ka lafz na mil raha to picture dekh kar type kar lain.

Step 9 : Jab aap Urdu select kar lain aur agar foran English ko select karna chahen to phir aap ye kaam shortcut ke zariye bhi kar sakte hain Urdu se English karni ho ya phir English se Urdu language karni ho uskay Windows + Space press karenge to language foran change ho jayegi agar aap ko kisi cheez ki samajh nahi aayi to aap comment mein puch sakte hain. Mujhe apni duaon mein yaad rakhiye ga aur post pasand aany par thanks par click karke friends ko share kar dain. Shukriya.

Post a Comment

  1. Bhai yaar jab urdu likh lai tab key board ka kon konsa botton daba kar size bara chouta kar sakty hai

    ReplyDelete
    Replies
    1. Urdu aap kahan likh rahe hain? agar to aap Urdu Microsoft Word mein type kar rahe hain to phir aap fornts ko chota karne ke liye fonts select karke CTRL+SHIFT+< press karenge aur font size ko bara karne ke liye CTRL+SHIFT+> dabaye ge to fonts size change ho jayega

      Delete
    2. salman bhai inpage me alaf likhun tu kuch or a jata ha jesa k a say alaf ata ha lakin jab main a button click karta hon to kaf a jata ha

      Delete

 
Top