Search This Blog

Yahoo Email ID Banana Yahoo Email ID Kaise Banaye How To Create Yahoo Account In Hindi

Yahoo ID Banane Ka Tarika Video Dailymotion How To Create Yahoo Mail Step By Step

Yahoo ID Banane Ka Tarika Video Yahoo Account Kaise Khole Yahoo Me ID Kaise Banaye




Yahoo dunya ki sab se popular aur purani mail id serivce hai aaj kal ke daur mein bhi yahoo popular ja raha hai jab ke Gmail, Hotmail, Outlook etc aa chuki hain jo bhi naya computer sikhne wala shakhs apna email address banata hai wo mostly yahoo per he apna 1st email address create karta hai jaisa ke humara blog especially aise logon ke liye hai jo technology or computer ki duniya mein naye hain isliye aise logon ki help ke liye yahoo per id banane ka step by step tarika bata raha hun aap neeche pictures per click karke inko bada karke asani se dekh sakte hain aur agar aap ko wese na samajh aye to tamama steps pictures mein bhi bataye gaye hain unko bhi follow kar sakte hain.


Yahoo Yahoo Par ID Kaise Banaye Yahoo Email Id Kaise Banaye






1st Step: Goto Mail.Yahoo.Com






2nd Step: Apna First Name Likhen





3rd Step: Yahan par apna Last name enter karen.





4th Step: Yahan per apna e-mail address type karen for example : salmantiger





5th Step: Yahan par apne new email address ka password rakhen.





6th Step: Yahan per apna mobile number dalne ke liye pehle apni country ka code select karen for example India ke liye +91 aur Pakistan Ke liye +92 phir apna mobile number dalen.






7th Step: Yahan per apni D.O.B yani Birthday mouse cursor teer ke nishan ko wahan per rakh kar click karen aur phir select karen.







8th Step: Ab yahan per apna gender yani jins select karen agar mard hai to Male agar aurat hai to Female aur agar khwajasara hai to Other select kare.





9th Step: Form ko fill karne ke baad achi tarah dekh lain kahin koi ghalti to nahin reh gai phir Blue Continue ke button per click kar dain.






10th Step: Jaise he aap continue ke button ko press karenge aapke mobile number per jo apne 6th Step mein enter kiya tha us par Yahoo Inc. ki taraf se apko ek code number bheja jayega take pata chal sake ke aap koi Spammer ya Bot nahi hain ab wo Code Number yahan enter karen.





Final Step : Message Inbox mein receive kiya gaya code number enter karne ke baad Blue Verify ke button par click karen.



Post pasand aane par Thanks ke button per click kar dain aur agar aap ko kisi step ki samajh nahi aa rahi to aap comment section mein poch sakte hain.

Post a Comment

 
Top