Search This Blog

WiFi Router Ki Jankari Wi-Fi Router Kya Hota Hai




Wi-Fi Router Signal Repeater
Wi-Fi Router Internet Device

Read Also : Wi-Fi Kya Hota Hai Wi-Fi Chalane Ka Tarika



What is WiFi Router in Hindi?




WiFi Router aik aisi device hai jo internet chalane ke liye use hoti hai wifi router DSL internet ke sath lagta hai DSL internet ka matlab (Direct Subscriber Line) hota hai jo har country mein ISP's provide karta hai ISP ka matlab (Internet Service Provider) hota hai. Har country mein koi na koi ISP zaror hota hai jo direct Cable Antenna ki tarah logon ke ghar mein Internet ki sahulat pohnchate hain.



DSL provider companies aap ko Free Router Device bhi deti hain lekin sab companies aisa nahin kartin kuch companies hoti hain jo customer ko DSL Connection ke sath free router device deti hain aur ye device company ki milkiyat mein hoti hai. Iske sath aap internet ko apne mobile ka wifi ya laptop aur apni tablet per bhi chala sakte hain.




WiFi router ek device hai jo data packets ko agay bhejti hai wifi router aik waqt mein 2 networks ke sath juda hota hai aam tor per ye network LANs WANs ya phir sirf LAN aur iske ISP's network ke sath judta hai. Router gateways par lagaye jate hain jahan 1 ya 2 ya 2 se bhi zyada networks apas mein connected hote hain.

Post a Comment

  1. kya router do tarah ke hote hai land line brodband ke alag aur wimex ka alag

    ReplyDelete
    Replies
    1. yes WiMAX router basically 4G connectivity ke liye use hota hai aur isay 3G or 2G ke liye bhi istemal kiya ja sakta hai DSL router telephone line ke zariye connect kiya jata hai lekin wimax mobile sim carriers ke sath bhi chal sakta hai

      Delete
  2. Dear isme puck dalana hota hai ya nahi

    ReplyDelete
    Replies
    1. ismail attar thanks for your comment here main aap ki bat ko samjha nahi ke aap kya kehna chah rahe ho PUCK kya hota hai?

      Delete
  3. Agar hamare pass landline broadband nahi ho to ham router se wifi kaise chahlaye

    ReplyDelete
    Replies
    1. Md Nabeel aap ke comment ka shukriya agar aap ke pass landline broadband nahin to phir aap router se Wi-Fi use nahin kar sakte kyun ki router ko chalane ke liye aap ke pass DSL Wire Connection must hona chahiye.

      Delete
  4. mere pass DSL naHi h to kya m wifi n chala pauga

    ReplyDelete
    Replies
    1. thanks Golu for your comment here agar aap ke pass Wi-Fi Router hai aur aap DSL cable ke baghair Wi-Fi use karna chahte ho to ye possible nahin lekin agar aap sirf Wi-Fi chalana chahte ho to phir aap Mobile ka Internet bhi Share karke Wi-Fi connection bana sakte ho. Setup karne ka tarika read kare.
      Wi-Fi HotSpot Banane Ka Tarika In Hindi

      Delete
  5. Kya modem aur Ethernet cable ke through WiFi router ko setup Kiya ja sakta hai

    ReplyDelete
    Replies
    1. g bilkul Ethernet Cable ko WiFi router mein laga kar Ethernet cable ke zariye Wi-Fi router ko setup kiya ja sakta hai

      Delete
  6. Kya WiFi router ko modem aur Ethernet cable se setup Kiya ja sakta hai

    ReplyDelete
  7. Sir Mera dsl connection with wire
    Ha
    Ma us ma dasora setup account banana Chahta hoon
    Kaisa banana ha
    Plz reply

    ReplyDelete
    Replies
    1. agar aap ek he Wi-Fi router mein 2 accounts banana chahte hain to aap bana sakte hain sab say pehle users ki option mein jayen jahan par Guest ki option bhi hoti hai wahan ja kar aap create new account par click karen wahan par pehle apna naam likhen aur phir password apka dusra account create ho jayega.

      Delete
  8. Kya WiFi router ki broadband connection bina Chala sakte hai
    Aur kaha se WiFi router connection le sakte hai. Kaise chalta hai
    With dim card ya without sim card
    Recharge plan kitna hota hai

    ReplyDelete

 
Top