Search This Blog

What Is A SEO Company Website Optimization Services Online Marketing Kya Hai


What Is Internet Marketing Information In Hindi

Search Engine Optimization Basics

Internet Marketing Company SEO Consulting Services Internet Marketing Kya Hai 



SEO Kya hota hai aur log kaisy apni website ko SEO Karte hain?




SEO ki Full Form Search Engine Optimisation hai. SEO term bohat purani Term to nahin taqreeban 3 ya 4 saal purani hogi jo ke pehle logon mein itni aam nahin thi ye baat wo log achi tarah jante hain jo Internet ki duniya mein kafi der se kaam kar rahe hain us waqt shayad he koi aisa Webmaster ho jise Search Engine Optimization ka knowledge ho kyun ki in cheezon ki zaroorat mehsoos nahi ki kisi ne lekin jaise jaise waqt guzarta gaya Web Competition badhta gaya to logon ne SEO ki taraf dhyan kiya.

Aur isko samjhne ki koshish ki SEO ko samjhne ke liye Sab se pehli cheez jo aapko pata hona chahiye ke wo ye hai ke Search engine kya hota hai isliye ye jaane ke liye meri post Google Search Engine zaror read karen. Uske baad dobara yahan wapis aa kar continue karen taa k aap ko achi tarah se meri post ki samajh aa sake SEO ek aisi term hai jo aaj kal ek web builder, webmaster web designer, web developer even web analyst ke liye bhi bohat zarori hoti hai kyunki website banane ke baad sab se aham cheez yehi hoti hai ke aap apni website ko Google mein pehle number par kaise le kar ayenge?





SEO ka main function aur purpose bilkul yehi hai ke aap ki website Google ki web directory mein Top par aaye aap ke competitors se pehle aaye agar unse pehle na aye to kam az kam unke baad ya unke sath sath aye for example agar aap Google mein likhte hain Free Website Kaise Banaye ya Website Kis Tarah Banai Jati hai ya phir Apni Website Banane Ka Tarika to ye query lagane ke baad jo website TOP 1st number par aaye woh website SEO ke lehaz se bohat achi hai zaroori nahin ke uss website ka developer/admin bohat he chalak ya ek expert hai lekin Google ki nazar mein wo website isliye top par aati hai kyun ki wo Google Webmaster Ki Quality Guidelines ko follow kar rahi hoti hain.

Jahan tak baat hai dusre Search Engines ki jaise Yahoo, Bing to har company ki apni alag policy hai in search engines mein apni website ko pehle number lane ke liye aap ko inki guidelines ko follow karna padega Bing aur Yahoo same company hain kyunki Yahoo aur Microsoft ki search engine mein partnership hai.
Internet se paise kis tarah kamaye? Domain konsa buy karen aur hosting kis company ki lain Website bana kar us say paise kis tarah kamaye? Internet Ki duniya mein SEO karke Google mein apni website ko sab se upar top kaise laye ye sari molmat lene ke liye aur mazeed malomat ke liye aap mere sath WhatsApp par bhi rabta kar sakte hain. 
Blogger, SEO Expert, Digital Marketer, Website Developer, Website Designer
Salman Moazzam 👉 +923436002946, 03346424709)
Sawal ye hai k log apni website ko pehle number per q lana chahte hain iska simple answer ye hai kafi log Internet Se Paise Kamate Hain aur iske bohat se tariqe hain for example Affiliate Marketing ye bhi internet se paise kamane ka ek eham tarika hai isliye jab aap ke blog ya website par jitni traffic zyada hogi aap ke Internet se paise kamane ke chances utne he zyada ho jate hain kyunki aap ki site par bohat se visitors aate hain jin mein se kuch log aap ki recommend ki hui product ko buy karte hain is tarah aapki profit zyada hoti hai isliye har koi apni site ko SEO karna chahta hai aur usay Google Bing aur Yahoo search engines mein top par le kar aana chahta hai.

SEO Firms aur Companies Kya Kaam Karti Hain? 


SEO Firms ye aise SEO Experts ki company hoti hai jo kisi ek shakhs ki bhi ho sakti hai aur kuch friends mil kar bhi SEO ki company launch karte hain aur duniya bhar ke logon ko SEO Services dete hain aur iske liye unhen paise mil jate hain kyun ki apni website ko pehle number par dekhne ke liye log lakhon rupe bhi kharch kar dete hai jis ki wajah se SEO Consultant aaj kal bahut arooj par ja rahe hain aur achi khasi kamai kar rahe hain.
Internet se paise kis tarah kamaye? Domain konsa buy karen aur hosting kis company ki lain Website bana kar us say paise kis tarah kamaye? Internet Ki duniya mein SEO karke Google mein apni website ko sab se upar top kaise laye ye sari molmat lene ke liye aur mazeed malomat ke liye aap mere sath WhatsApp par bhi rabta kar sakte hain. 
Blogger, SEO Expert, Digital Marketer, Website Developer, Website Designer
Salman Moazzam 👉 +923436002946, 03346424709)
Final words:- Agar koi mujhse ye sawal puche ke SEO karna zarori hai ya nahin? to mera answer yehi hoga kay SEO Karna bahut zaroori hai kyunki agar aap apni website ko Search Engine ke mutabiq Optimize nahin karenge to phir aap ko profit nahin ho sakta agar hoga to bohat kam hoga. Agar aap ko bhi SEO ki kuch information aur working Tips chahiye to mere blog ko follow karen aur ye post pasand aane par apne friends ke sath share zaror karen.

Post a Comment

 
Top