Search This Blog

Affiliate Marketing Kya Hota Hai? Affiliate Marketing Karne Ka Tarika


Affiliate Marketing Tips For Beginners

Online Business Affiliate Marketing Information What Is Affiliate Marketing In Hindi Affiliate Marketing Meaning In Hindi




Internet ne pichle chand saalon se logon ki zindgiyon mein inqlab barpa kar diya hai aise log jo education hasil karke nokrion ke liye bhagte thy aur roz roz nayi company mein application jama karwa ke har nai post par CV's submit karte thy aur sirf isi intizar mein rehte thy ke application dene ke bad unhone matloba job mil jaye ya koi achi sarkari naukri lag jaye to unki life ban jaye lekin jaise jaise internet business barhta gaya logon ne Internet Se Paise Kamane Ke Tarike seekh liye aur aaj kal internet par paisa kamana bohat aam hota ja raha hai har koi Apni Website Banana chahta hai taa ke internet se kafi paise kama sake.




Dosto internet se paise kamane ke liye sab se zaroori cheez hai apki English Language high level ki honi chahiye kyunki ye international language hai jis ke baad aap puri duniya ke sath kisi se bhi bat kar sakte hain uske sath apne khayalat ka izhar kar sakte hain pehle main bhi yehi sochta tha ke internet pe paise kamane ke liye English zuban ki knowledge hona zarori nahin lekin ab jab life mein agay barhte hue logon ko dekhta hoon to sochta hoon ke English ke baghair kamyabi mumkin nahin.


What Is Affiliate Marketing In Hindi


Mera aap sab ko yehi mashwara hoga ke pehle aap sab log jo internet se paisa kamana chahte ho English seekho aur agay barho uske baad aapke paas laakhon choices hongi aap koi bhi kam kar sakte ho Affiliate Marketing ya Internet Marketing bhi English ke zariye he mumkin hai mere khayal mein aisa koi shakhs nahin hoga jis ne bagair English Language ke Affiliate Marketing me kamyabi hasil ki ho ya koi cheez Amazon ClickBank ya phir ShareASale par sale ki ho kyun ki zyada tar log jo internet sey prodcuts buy karte hain wo United States or Europe ki countries se taluq rakhne wale hote hain humare haan toh logon ko yeh pata nahi hota ke Internet Kya Hota Hai Aise mein Pakistan ya India jaise country mein koi bhi insan online buying ke mamle mein bohat ghabrata hai aur yehi samjhta hai ke ye sab fraud hai isliye bahir ke log jo parhe likhe hain in baaton ko samjhte hain wohi aap ke internet ke business ko chamka sakte hain.

Affiliate Marketing Information In Urdu/Hindi :-

Affiliate Marketing Companies List


Affiliate marketing mein apne logon ki products ko sale karna hota hai wo aap kisi bhi tarike se sale kar sakte ho chahe facebook ke page se ya phir apni WordPress ki website bana kar ya koi bhi blogging platform choose karke jahan par aap ko apni Website par Traffic le kar aani hoti hai jitni zyada traffic hogi aap ke profit kamane ke chances utne he zyada honge Affiliate Marketing mein aap ko kisi bhi merchant ke sath register hona padta hai jaise Amazon ClickBank aur ShareASale bahut famous hain.




Phir aap ko apni site par us product ka link lagana padta hai ab jab koi visitor aap ki website par aayega wo us product ke link par click karne ke baad usko khareede ga to uska profit company ko toh milta he hai lekin company aapke hisse ka commission aap ko bhi degi issi tarah affiliate marketing hoti hai aur yehi tarika hai affiliate marketing karne ka agar kisi dost ne English language ke baghair Affiliate Marketing se paise kamaye hain to woh please humare sath comment box mein apna experience share kare kya pata aap ki wajah se meri bhi aur dusre logon ki bhi help ho jaye. Post pasand aane par thanks ke button par click kar dain.

Post a Comment

 
Top