WiFi Ki Jankari Hindi Me WiFi Ka Password Kaise Pata Kare
Wi-Fi Internet Kya Hota Hai Wi-Fi Kise Kehte Hain |
Wi-Fi Kya Hai? WiFi Internet Kisay Kehte Hain??
Wi-Fi internet ko use karne ka ek medium hai Wi-Fi ke zariye aap internet se connect ho sakte hai. Wi-Fi ek wireless communication technology hai jo ke bina kisi cable ke use ki jati hai WiFi ka matlab hai aap baghair kisi wire ke PC, Laptop ya apne smartphone per Wi-Fi use kar sakte hain aur internet chala sakte hain.
WiFi Kaise Chalate Hai? WiFi Kaise Use Karte Hai? WiFi Kaise Use Hota Hai?
WiFi Kaise Chalate Hain WiFi Use Karne Ka Tarika |
Wi-Fi use karne ke liye aap ke pass DSL (Direct Subscriber Line) Internet Connection or Wi-Fi Router ka hona zarori hai ye router aap ko ISP (Internet Service Provider) yani internet dene wali company khud deti hai ye router ek choti tv device k jaise hota hai ya dish antenna receiver k size ka bana hota hai aur iske upar wireless antenna fit kiye hote hai taa k Wi-Fi ke signal asani se receive ho saken.Wi-Fi use karne ke liye aap ko Wi-Fi modem router ki back ya front side jahan per buttons bane hote hain wahan se WLAN ka button press karna hota hai phir aap ke pass ek Virtual Private Network ban jata hai jo ke apne Mobile k Wi-Fi connection ko on kar ke use kar sakte hai.
Lekin Wi-Fi connect karne ke liye aap ko password ki zarorat bhi hoti hai to password lagane ke liye Wi-Fi router ki neche wali side per ek sticker laga hoga wahan per WEP/WPS/PIN keys likhi hoti hain wohi aap k Wi-Fi ka password hai jab aap se password pucha jaye to aap wo password laga do internet connect ho jae ga ghalat password ki soorat mein apka internet connect nahi hoga. Ye Wi-Fi aap taqreeban Wi-Fi router se 100 Meter ki dori per chala sakte ho is zada dor ye Wi-Fi connection aapko available WLANs main show nahin hoga.
Yr in WiFi h mere room mein men kese use iron us ko plz help
ReplyDeleteaap wifi chalane k liye Wifi router device k wifi button ko press karen phr apne mobile me usks password lagayen chal jae ga
Deletekya wifi ko computer ke zaroot hai
ReplyDeleteMohd Sohail nahin Wi-Fi use karne ke liye sirf aap ka broadband router chalna chahiye jiske sath DSL internet ki cable lagi ho aur aapke comment karne ka shukriya
DeleteKya hum Aisa kuch kar sakte hai ki samne vale mai password ho phir bhi use na kar sake
ReplyDeleteChadhary Bharat aap shayad ye puchna chahte hain ke agar kisi ko humari wifi ka password pata ho to wo phir bhi use na kar sake g bilkul ye kaam ap Wi-Fi router ki configuartion mein kar sakte hain or Sepcific Wi-Fi MAC Address ko block kiya ja sakta hai aur agar aap ne mobile ke hotspot mein kisi Wi-Fi connection ko block karna hai to phir simply tethering & portable Wi-Fi hotspot mein jaa kar connected users ke samne ek button BLOCK ka hoga usko press karenge to user block ho jaye ga aur wo apki Wi-Fi ko use nahi kar sake ga
DeleteKya village me wifi router kaam karega?
ReplyDeletesandeep singh agar aap kay village mein DSL ki facility hai to phir aap Wi-Fi Router ko village mein bhi use kar sakte hain
Deletemere htc m wifi on ni ho raha kya problem jo sakti h plz btay
ReplyDeleteNaushi aap kay HTC mobile Wi-Fi na hone ki wajah aap kay mobile ka software problem ho sakta hai jo mobile ko flash karne kay baad thek ho jata hai HTC ka model konsa hai aapke paas?
Delete