Search This Blog

How to Use WiFi Router Step By Step Wi-Fi Se Internet Ko Chalane Ka Tarika Wi-Fi Se Internet Kaise Use Kiya Jata Hai?


How To Use Wifi In Mobile In Hindi

WiFi On Karne Ka Tarika

How To Connect WiFi Router At Home Wi-Fi Kaise Use Karte Hai Wi-Fi Chalane Ka Tarika Wi-Fi Connect Kaise Kare




Wi-Fi Kya Hai aur ye kis liye use ki jati hai iske bare mein details ke sath main pehle bhi bata chuka hoon ab aate hain asal topic ki taraf ke aap Wi-Fi internet kaise chala sakte hain Wi-Fi ko chalana koi mushkil kaam nahin aksar ye hota hai jin gharon mein bade bhai hoon to wo apne chote bhaion ya behno ko internet use nahi karne dete aur khud use karke Wi-Fi ko off kar dete hain lekin aaj hum aap ko iss pareshani ka hal batane jaa rahe hain Wi-Fi ko chalane ka sahi tarika kya hai neeche parhiye.


1st Step :- WiFi ko chalane ke liye aap ke pass DSL broadband ya mobile phone mein Mobile Broadband like 3G Internet ya 4G Internet hona zaroori hai.


2nd Step :- Agar aapke pass DSL cable wala net hai to phir yaqenan apke ghar Wi-Fi Router bhi laga hoga jo ke ek internet ka gateway hota hai matlab jahan se aap internet chalate ho.


3rd Step :- Wi-Fi router ko check karen ke uski sari Lights chal rahi hain ya nahin agar sirf Power wali light chal rahi ho aur baqi lights na chal rahi to gadbad hai aur DSL Internet ki cable ya to utri hui hai ya router ki configuration yani setting change ki gai hai agar to cable utri nahi hui to phir Wi-Fi router ko on karne ke baad thoda sa wait karein kyunki router ko sahi tarike se on hone mein taqreeban 60 seconds yani 1 minute lag jata hai.


4th Step :- Ab router ko on karne ke baad Wi-Fi Router device ko har taraf se check karen kahin na kahin Wi-Fi wala button hoga uske upar likha bhi hota hai Wi-Fi ya Wireless internet bas apne usko press kar dena hai.


5th Step :- Ab Wi-Fi on ho chuka hai aur uske signal aap ke pure ghar mein chaaron taraf phel chuke hain.


6th Step :- Apne mobile, tablet, PC, Smartphone, LED, Notebook jis mein bhi Wi-Fi ka option ho uski Wi-Fi on karen agar aap ke area mein kuch aur log bhi Wi-Fi use karte hain to phir aap ke pass unke signals bhi show honge lekin aap ne sirf uske saath connect karna hai jis ke signals full honge yani jo aap ki Wi-Fi ke signal honge.



7th Step :- Jab aap connect karenge to aap ko Wi-Fi connection ki janib se ek password pucha jaye ga wo password aap ko router ke neeche lage hue sticker par mil jaye ga jahan par Pass ya WPA/WPS Keys likha hoga us ke samne he apki Wi-Fi ka password majood hai agar Wi-Fi ka password aap ke bade bhaiya ya kisi aur ne change nahin kiya to aap ki Wi-Fi usi waqt connect ho jaye gi aur aap asani se internet chala sako ge. Agar aap ko meri ye post pasand aayi hai to thanks ke button par zaroor click karen aur isay apne friends ke sath share bhi karen.

Post a Comment

 
Top