Search This Blog

Muhammad Ali a Great Person, Athlete, and Human




Muhammad Ali ek azeem insan thy aur insaniat ki qadar karne wale shakhs thy aapko United States ki Army ki taraf se Vietnam mein logon ko qatal karne ko kaha gaya to aap ne U.S Army mein kaam karne se inkar kar diya unhone kaha ye War Quran ki taleemat ke khilaf hai aur Humein aisi jang mein ijazat lene ka nahin kaha gaya tab tak jab tak Allah Taala aur uske Rasool Hazrat Muhammad (S.A.W.W) ki taraf se elan na kiya jaye. Hum Christian ki jang mein hissa nahin lete or na he kufar ki jang mein hissa lete hain.






Unhon ne kaha main Viet Cong ke saath larne nahin ja sakta aur wo mujhe yani U.S Army wale aisa kyon kehte hain ke main uniform pehan kar 10 miles ghar se door sirf is liye jaon ke wahan ja kar main siyah faam brown logon par bomb phenko aur unhen bullets maron? Jab ke Negro mein logon ko kuton ki tarah treat kiya jata hai aur insani haqooq ki khilaf warzi ki jati hai. Isi wajah se aaj pori dunya ka media unki buhadri ki wajah se unhen yaad karta hai tamam bade channels jese BBC, CNN, FOX NEWS, SKY NEWS aur pori dunya ke tamam media broadcaster unhen ache lafzon mein yaad kar rahe hain yahan tak ke America ke presiden Barack Obama aur America ke naye muntakhib hone wale president ki list mein shamil Donald Trump bhi ne unki tareef ki hai aur unhen achay lafzon mein yaad kiya hai.



Pakistan famous boxer Aamir Khan ne kaha hai ke Muhammad Ali ke jane se boxing ki field ko bohat bada nuksan hua hai. Muhammad Ali 17 January 1942 ko Louisville, Kentucky, U.S.mein peda hue aur 3 June 2016 ko Scottsdale, Arizona, U.S. mein inteqal kar gaye. Aaj jab mene apple ki website open ki Muhammad Ali ki picture dekh kar mujhe dili khushi hui aur usi wajah se bhi main post karne par majboor ho gaya ke ek Muslim Boxer champion ko pori dunya mein izzat di ja rahi hai. Apple Ki site visit karke aap bhi ye picture dekh sakte hai aur aap ki sahulat ke liye mene uska screenshot le liya hai jo aap neeche asani ke sath dekh sakte hain.



Muhammad Ali Picture On Apple Website


Agar aap ko ye post achi lagi hai to niche thanks ke button par click kar dain shukriya.

Post a Comment

 
Top