Search This Blog

3G Technology Information In Urdu 3G Internet Ki Maximum Speed Kitni Hoti Hai 3G Info In Hindi


3G Network Mobile Internet Services Information In Hindi

3g Mobile Internet Speed Details

Telecommunication 3rd Generation Internet Services What is 3G Technology In Hindi




3G 3rd Generation ki short form hai third generation of mobile telecommunications technology ye ek wireless technology hai aur har 10 saal baad mobile par internet ko use karne ka ek naya spectrum launch hota hai jaise sab se pehle GPRS tha phir 2G aya phir Edge technology aayi uske baad 3G aya phir 4G ki service launch ki gayi aur ab America mein 5G launch karne ke test kiye ja rahe hain. 3G internet mobiles mein SIM ke zariye istemal hota hai aur agar aap isay apne PC, Laptop, Notebook ya Macbook mein use karna chahte hain to phir aap ko matalqa mobile ka software ya application karni padegi jiske baad apke computer mein mobile internet modem ke drivers install ho jayega aur aap baa asani apne PC par bhi 3G internet ke mazy le sakte hain.




Jis mobile mein 3G chal sakta hai usay 3G Mobile phone ya smartphone bhi kehte hain for example agar kisi ke paas Nokia ka 3G enabled yani ke handset hai to phir wo Nokia Suite ya OVI Suite ko apne computer mein install kare ga. Iske elawa 3G use karne ke liye 3G Dongle bhi use ki jati hai jo ek aam USB k size ki device hoti hai jis mein SIM daal sakte hain aur usay PC mein attach karke 3G internet istemal kar sakte hain. 3G internet se pehle 2G internet tha jo ke bohat he slow raftar se chalta tha aur bohat mushkil se browsing hoti thi websites kholne mein kafi waqt lagta tha lekin ab Wi-Fi aur 3G ke daur mein internet use karna bahut asan ho gaya hai.

Related Stories :-  2G Internet GPRS Aur Edge Kya Hai? 


3G Speeds 3.5 Speed HSPA HSPA+ WCDMA Speed Standards



3G internet mein internet service providers (ISP) minimum 128 KBPS ki speed dete hain aur kuch network providers is say bhi ziyada speed dete hain ye network ke resources bandwidth aur megahertz per depend karta hai 3G WCDMA mein aap ko maximum 384 Kilobits per second speed mil sakti hai aur agar network acha jo aapko HSPA ki service de raha hai to phir aap ko 7.2 MB tak speed mil sakti hai aur is say bhi next technology HSPA+ service hai to phir aap ko 21.6 MB/Sec tak downloading speed hasil ho sakti hai ye 3.5G tak speed hoti hai jo ke 4G ki half speed hai. Agar aap ko meri ye post pasand ayi hai to isay apne doston ke sath share karen aur neche thanks ke box mein click kar dain.


Post a Comment

 
Top