Search This Blog

Mobile Mein Ya Smartphone Par Wi-Fi Use Karne Ka Tareeqa


Mobile Phone Mein Wi-Fi Internet Kaise Chalaye

Android Mobile Par Wi-Fi Connect Karne Ka Tarika

Mobile Ka Wi-Fi Internet Istemal Karne Ka Tarika Kya Hai?




Dosto jaisa ke aap jante hain ke aaj kal daur Mobile or Smartphone ka daur ja raha hai logon ne laptops use karna chhod diye hain Computer ka istemal kam ho gaya hai notebook bohat kam nazar aati hai iPAD aur Tablets ki jaga har koi Android ka mobile use karna chahta hai kisi ki wish hai ke osay 5 inch wala android phone mile jis mein sab features hoon koi kehta hai mujhe 6 inch screen wala smartphone chahiye ye tabdeeli bahut tezi se aa rahi hai ab wo log jo internet kabhi computer per chalate thy aur browsing kiya karte thy sab log mobile par shift ho rahe hain kyunki mobile ek asani ke sath use karne wali device hai jo har waqt aapke paas majood hoti hai.






Agar kabhi aapko laptop use karna ho to phir laptop bag sath rakhna padta hai agar desktop computer use karna hai to phir ek jaga par beth kar lekin mobile ki yeh khoobi hai ke aap isko har jagah le kar ja sakte ho aur har cheez dekh sakte ho ab kuch log jinhon ne naya smartphone liya hai aur jo smartphones ki duniya mein abhi naye hain unko Wi-Fi chalane ka problem paish aata hai.
Smartphone mein Wi-Fi chalana koi mushkil kaam nahin bas aap ne sab se pehle apne Wi-Fi Router ko on karna hai aur Wi-Fi ke button ko daba kar Wi-Fi network bhi on karna hai agar to aap ke paas Android Smartphone hai to aap ne Settings mein jaa kar sab se pehli Option Wi-Fi par touch karna hai uske baad jitne bhi Wi-Fi networks aapke paas range mein honge wo show ho jayenge aap ne apni Wi-Fi device ke network par touch karna hai.




Uske baad aap ko system password puche ga aap ne wohi password enter karna hai jo aap ke Wi-Fi Router ka hai agar aap ko ye nahi pata ke aap ke Wi-Fi Router ka password kya hai to aap meri ye post parehen Wi-Fi Router Password Kaise Check Karein ye read karne baad apne password laga kar Connect par touch karna hai that's it ab aap ki Wi-Fi connect ho chuki hai aap Wi-Fi internet use kar sakte hain. Meri ye post pasand aane par neeche thanks ke button par click kar dain.

Post a Comment

 
Top