Search This Blog

Amazon Par Account Kaise Banaya Jata Hai Amazon Par Account Banane Ka Tarika


Amazon Account Creation Step by Step Tutorial

Assalam o Alaikum My Dear Readers,

Aaj se 10 saal pehle internet ki duniya par itna inqilab nahi aaya tha jitna pichle 10 saalon mein aa chuka hai ab Internet se taqreeban har cheez karna mumkin hai Internet istemal karne ke liye Wi-Fi Wireless Technology k baad ab Li-Fi Technology bhi medan mein aa chuki hai jiski madad se aap 40 GB Data Per Second mein transfer kar sakte hain. log internet par Facebook Ka Account bana kar puri duniya se rabtay mein rehte hain Google Search Engine par kuch bhi talash kar sakte hain Website Banane Ka Tarika dekh sakte hain Twitter Par Account bana kar Tweets karte hain aur logon se jury rehte hain Messaging k liye ab WhatsApp duniya ki sab se popular Application hai WhatsApp ID Kaise Banaye ye bhi dekhiye sirf yehi nahin ab Internet logon k paisay kamane ka bhi bohat aham zariya ban chuka hai log Internet Se Paise Kamane Ke Tarike dhoondte rehte hain Websites aur Videos bana kar Internet se paise kamate hain aur Amazon k zariye bhi log online earning karte hain Amazon se paise kis tarah kamaye jate hain ye janne ke liye aap meri post Affiliate Marketing bhi parh sakte hain agar aap bhi Online Business start karna chahte hain to aap mere sath rabta kar sakte hain main logon ko Online Business karne ka aur internet par apna karobar shuru karne ka tarika batata hun.
Agar aap likhne k shoqeen hain to aap bhi internet se paise kama sakte hain aur agar aap videos banane mein dilchaspi rakhte hain phir bhi aap online earning kar sakte hain Internet se ghar baithe paisay kamana chahte hain to phir aap mera Online Business Do It blog ek bar zaror visit karen us par main ne Internet se paise kamane ke mutaliq posting ki hai aur kis tarah ek company logon ko net se paise kamane ki sahulat deti hai ye bhi bataya hai. Amazon is waqt Internet Ki Duniya mein online shopping ki sabse bari website hai jahan par croron log rozana online shopping karte hain agar aap bhi Amazon se online shopping karna chahte hain to aap mera Health Tips aur Beauty Tips ka blog bhi visit kar sakte hain aur Satellite Accessoires buy karne ke liye aap mera Satellite Biss Key blog bhi dekh sakte hain.
Aaj main aap ko Amazon par account banane ke tarika step by step sikhaon ga account banana bohat asan hai bas Amazon ki website par apni ID banane ke liye neeche diye screenshots ko dekh kar aur har step k sath meri batayi hui instructions & steps ko follow karen aur agar aap ko Amazon par apna account banane mein koi masala ya dushwari pesh aa rahi hai to aap mujhe WhatsApp par bhi puch sakte hain mera WhatsApp no. Salman Moazzam +923436002946

Amazon Par Account Banane Ka Tarika


Step:- 1

Sab se pehle Amazon ki website ko visit karen ya phir is link par click karen Amazon.Com

Step:- 2

Ab sab se pehle Accounts & Lists par click karen jis tarah screenshot mein teer dikhaya gaya hai.



Step:- 3

Accounts & Lists par click karne ke baad ab Sign in k Yellow button par click karen.




Step:- 4

Sign in k button par click karne k baad ab Create your Amazon account par click karen.




Step:- 5


Create your Amazon account par click karne k baad Your name waly box mein apna pura naam likhen.




Step:- 6

Apna pura naam likhne k baad Email walay box mein apna Email Address type karen aur Agar aap ka koi bhi email address nahi hain to phir aap pehle meri post Email Address Banane Ka Tarika parhen aur phir yahan wapas aa kar 6th Step continue karen.






Step:- 7

Ab yahan par apne account ka password rakhen koi bhi password banaye aur asan password rakhen takay Sign in k waqt aap ko bhule na ya phir apne pass alag se type karke rakh lain.




Step:- 8

Ab re-enter password walay khanay mein dobara wahi password type karen jo aap ne pichle step mein type kiya tha.


Step:- 9


Ab Create your Amazon account par click karen Amazon aap ka email confirm karne ke liye aap k email par ek link bheje ga Create your Amazon account par click karne k baad apna mailbox check karne aur account ko verify karne ke liye Amazon k bhejy hue link par click karen.



Agar aap Amazon ka account banane mein kamyab ho chuke hain to phir is post ko apne friends aur family sath lazmi share karen mujhe umeed hai kay tamam steps ko mere bataye hue tarike k mutabiq follow karne k baad apka Amazon ka account ban jayega agar phir bhi aap ko koi masala pesh aa raha hai to aap mujhe WhatsApp par personally contact kar sakte hain my WhatsApp number WhatsApp no. Salman Moazzam +923436002946

Post a Comment

 
Top