Search This Blog

How To Create Adobe Photoshop ID In Urdu/Hindi

Adobe Photoshop aik popular Photo Editing software hai kafi log professional Adobe Photoshop istemal karte hain. Kuch log Adobe mein apna account banana chahte hain jise banane mein mushkil ati hai lekin aaj main apke liye Adobe ID banane ka tarika le kar aya hoon aur wo bhi step by step pictures ke sath to phir shuru karte hain. Adobe photoshop ki ID banane ke liye aap ke pass internet connection hona zaroori hai internet connection Wi-Fi bhi ho sakta hai 3G aur 4G LTE bhi ho sakta hai.
Adobe Photoshop ki id banane ke liye pehle aap ke pass aik adad Email address hona bhi zaroori hai agar aap ke pass apna email address nahi hai to phir aap ek naya email address banane ke liye meri ye post read karen ➩ E-Mail Address Banane Ka Tarika email address bana lene ke baad aap neche pics mein bataye gaye steps ko one by one follow karen.

How to Create Adobe Photoshop Account


1st Step: Sab se pehle is link ko visit karen Create Adobe ID





2nd Step: Ab yahan par apna pehla name likhen.



3rd Step: Ab yahan par apna last name likhen.




4th Step: Ab yahan par apne Adobe Account ka password set karen.





5th Step: Ab yahan par apni country select karen. for example Pakistan




6th Step: Ab yahan par apni date of birth ka month select karen.




7th Step: Ab yahan par apni Date of Birth ka din select karen






8th Step: Ab yahan par is box ke samne click karen.





9th Step: Ab is box par bhi click kar dain.




10th Step: Ab Sign Up par click kar dain apka account ban jayega aur apke email address par Adobe ki taraf se aik email ayegi account ko verify karne ke liye us email ke link par click karenge to apka Adobe Account verify ho jayega.  Dosto agar aap Adobe ID apne Computer or Laptop par banane mein kamyab ho chuke hain to phir is post ko apne friends aur family ke sath share bhi karo aur humare YouTube ke channel Dunya E Internet ko subscribe bhi karen. Subscribe on YouTube Dunya e Internet YouTube Channel

Post a Comment

 
Top