Search This Blog

Windows XP Install Karna Win XP Karne Ka Tarika In Hindi Urdu



Window XP Karne Ka Tareeka
Window XP Kaise Load Kare In Hindi





Windows XP apne daur ki badshah Window thi. Windows XP 2001 ko release hui aur usnay Microsoft k shares ko bohat bulandi tak pohncha diya. Win XP ka naam eXperience se bana tha isliye experience ke word ko short karke XP kar diya gaya. Windows XP bohat se softwares or games ko chalati thi lekin ab kyun ki windows xp ki support ko microsoft ne 8 April 2014 mein khatam kar diya hai.




Windows XP bohat fast reliable and smooth performance windows thi. Windows XP ab bhi kafi log computer's mein use karte hain kyun ke kuch aisay softwares hain jo sirf Windows XP mein he chal sakte hain aksar Photo Studio wale Computers mein Windows XP he rakhte hain kyunki iske zariye wo Adobe Photoshop per taizi se kaam kar sakte hain.




Win XP ko Install karne ke liye agar to aap ke pass CD, DVD hai to wo dale agar wo Nahin hai to koi masla nai Windows XP ko USB se bhi install kiya ja sakta hai. Windows XP ki Bootable USB Banane ke liye sab se pehle Windows XP Service Pack 3 Original ISO Internet se download karen. Uske baad Universal USB Installer ke zariye USB ka Boot bana kar apne PC ko restart karen phir Motherboard ki settings mein jaa kar USB se Boot karen aur ACHI mode on rakhen taa ke koi error na aye.

Post a Comment

 
Top