Search This Blog

WPS Push Button Function Wi-Fi Baghair Password Ke Chalane Ka Tarika How to Connect WiFi Without Password


What Is WPS Button On Router For

How To Connect To WiFi Without Password Using Android Phone


How Long To Hold Wps Button

Wps Led Blink


How To Use Wps Button Connection On Android




Internet aaj kal sab educated logon ki zaroorat ban gaya hai har kisi ko internet ki zaroorat hoti hai aur wo duniya ke sath connect rehna chahta hai koi apne friends ke sath chat karna chahta hai isi tarah working professionals ko apne work se related information ke liye internet ki talash hoti hai. WiFi internet ki bohat aam aur popular term hai jo taqreeban har kisi insan ko pata hai. Log WiFi chalane ke liye Router ki setting karna nahin jante WiFi Kya Hai? aur Ye Kese Use Hoti Hai? Yahan Padhiye iske baad aap Wi-Fi ko connect karne ke liye password ki zaroorat padti hai lekin agar aap ke pass router tak pohnchne ki sahulat hai to phir aap bina password ke bhi Wi-Fi connect kar sakte hain wo kaise karna hai aap ko step by step samjha raha hun ye tarika follow karen aur agar aap ko samjh na aye to comment box mein puch sakte hain.



How To Connect To Any Wifi Without Password On Laptop Step By Step Guide


  1. Wi-Fi ko bina password ke chalane ke liye aap sab se pehle Wi-Fi Network ki range mein jana hoga.
  2. Uske baad aap ko Wi-Fi Router ko talaash karna hai iske liye aap experiment kar sakte hain aap ke mobile mein Wi-Fi signals par nazar rakhen aur apni location change karen.
  3. Agar Wi-Fi network ke signals kam ho rahe hain to dobara jaga change karen aur us taraf jayen jahan signals full hoon jaise jaise aap Wi-Fi ke qareeb jate jayenge aap ke Wi-Fi k signal badhte jayenge.
  4. Jab aap ko Wi-Fi router mil jaye to Wi-Fi router ke WPS button ko talash karen WPS ka matlab hota hai (Wi-Fi Protected Setup) iske zariye aap bina password lagaye apne mobile ya tablet mein Wi-Fi use kar sakte hain.

  5. WPS ka button press karne se pehle Router ki tamam lights ke neeche padh lain ke kya kya likha hua hai kyun ki har light k neeche uska function likha hota hai. WPS ki light ke neeche WPS likha hoga.
  6. Ab WPS ke button ko press karen jaise he aap WPS ka button press karen ge to router ki ek light blink karna shuru kar degi lekin ya zyada der blink nahin karegi wo isliye iska time almost 10 seconds hota hai.
  7. Ab aap apne mobile mein Wi-Fi ke options mein jaa kar WPS par touch kar dain aur yaad rahe ye button usi waqt press karna hai jab aap ne router ka button press kiya hai thoda late bhi ho jaye to connect ho jaye ga misal ke taur par 3 se 6 seconds ke andar andar connect ho sakta hai.

Jaise he aap same time par WiFi Router ke WPS button aur apne Mobile ke WPS function par click karen ge to aap Internet ke sath connect ho jayenge. Meri post pasand aane par neeche thanks box par click zaror karen.

Post a Comment

 
Top