Search This Blog

Web Hosting Domain Name Registration Best Blog Hosting Site Domain Kya Hota Hai Domain Kaise Buy Karen



Website Banane Ke Liye Kya Kare What To Do Create a Website

Where To Purchase A Domain Name Cheap Domain Name Hosting Website Kahan Par Banai Jati Hai Domain Kaise Add Kare






Internet ki duniya mein khush amdeed! Aaj kal ka daur bohat advance ho chuka hai sab log internet par apni pasandida websites dekhte hain aur new website blogs aur online shopping store se shopping bhi karte hain web hosting ke liye sab se best tarika ye hai ke aap sab se pehle free web hosting try karen uske baad agar aapko iski samajh aaye to phir aap Domain Registrar ya phir Web Hosting buy karen domain khareedne ke liye sab se popular registrar GoDaddy hai aur Web Hosting ke liye reliable aur fast speed jo ke ek achi website ko chalane ke liye zarori hai aisi shandar hosting provider BlueHost ki web hosting hai. Dunya ki sab se sasti Web Hosting Sale jo ke 26th aur 27th September 2016 ko sirf 2 Din ke liye lagegi ye offer hasil karne ke liye abhi visit karen.





Agar aap ke mind mein ideas hain aur aap chahte hain ke aap ki bhi apni website ho jo aap logon ko batayen ke meri website visit karen to phir aap ko Free Web Hosting ki services bhi use karni chahiye free web hosting mein aap ko koi nuksan nahi hota kyun ki ye aap ke liye bilkul muft hoti hai aur agar aap ko abhi Website Development ya Web Designing ke bare mein itni malomat nahin hai to phir aap Web Hosting buy karke nuqsan mein jaa sakte hain kyunki jab ap ko ek cheez istemal na karni aati ho to phir aap zaroor kuch na kuch ghalat karo ge isliye agar aap Websites aur Internet Ki Duniya mein naye hain to pehle free web hosting try karen us par experiments karein jab aap ko ye yaqeen ho jaye ke haan ab mujhe Web Hosting, Cpanel, Server, IP Address, CName, Host, A Record itna knowledge hai to phir aap web hosting zaror buy karen.

Web Hosting Kaise Kare Domain Kaise Banaye?


Kyunki Self-Hosted sites kisi bhi free websites ya free hosting se best hai iski misaal aap yun samjh lain ke jab aap kisi free web hosting company ki service use karte hain to unki bahut si terms aur conditions hoti hain unke bahut se rules hote hain jinhen apne follow karna hota hai Blogger jo ke main use karta hoon iski bahut si terms hain rules hain agar main inke rules aur regulations ko fllow nahin karon ga to ye mere blog ko kabhi bhi remove kar sakte hain ya mere saray blogs remove kar sakte hain even mera pura account kisi bhi violation ki wajah se delete kar sakte hain.





Isliye jab aap paise de kar cheez lete ho to phir wo aap ki ho jati hai koi bhi insan qanooni taur par aap se wo cheez nahin le sakta phir aap ki apni marzi hoti hai jab tak aap Web Hosting ya Domain Registrar ko unki Monthly ya Annually fees dete raho ge aap ki website ko koi kuch nahi karega wo alehda bat hai rules to aap ko paise dene ke baad bhi follow karne pade ge ye Privacy Policy aur Terms and Conditions har company ke hote hain lekin jo companies sab kuch free deti hain unke rules aur regulations thode sakht hote hain aaj main aap ko wo tamam free web hosting ki company's ke naam batane ja raha hoon jin ko aap baghair kisi payment ke use kar sakte ho.


List of Free Web Hosting Service Providers 2016

  1. freehostingnoads.net
  2. wordpress.com
  3. weebly.com
  4. blogger.com
  5. wiz.com

Internet ki duniya mein kaam karne ke liye sab se pehle aapko internet ko samjhna zaroori hai agar aap ko internet ki malomat nahin to phir aap kamyab nahin ho sakte Internet kya hai aur ye kaise kaam karta hai sab kuch janne ke liye meri ye post Internet Kya Hota Hai Internet Ki Malomat zaror read karen aur Agar aapko website nahi banani aati aur aapko nahin pata ke new website banane ke liye kin kin cheezon ki zarort hoti hai toh phir aap meri ye post read karen Website Banane Ka Tarika post pasand aane par neeche thanks box mein click kar dain.


Post a Comment

 
Top