Search This Blog

How To Apply Ehsaas Ration Program Ehsaas Emergency Cash Online Registration


ehsaas program online registration form
Ehsaas Emergency Cash Program Complete Guide


Ehsaas Emergency Cash Form وزیراعظم کا احساس پروگرام


Ehsaas emergency cash program har mustahiq afrad ko 12000 rupay naqad cash milege apply karne se pehle SMS kar len aap is scheme k liye ehal hain ya nahin? Abhi apne mobile se internet k baghair SMS karen apna ID Card number 8171 par send karen kuch aisy 31234-1234567-8 aur bhej dain 8171 par uske baad aap ko Govt. of Pakistan ki taraf se ek message mosool hoga jis mein aap ko bataya jaye ga k aap is program mein shamil ho sakte hain ya nahin koyn ki ye program mushtahiq aur ghareeb logon k liye banaya gaya hai jo 2 waqt ki roti nahin kha sakte aur jinhen Corona Virus lockdown ki wajah se maali mushkilat ka samna hai.

Ehsas emergency program mein registration karen How to Register Yourself for Ehsas Emergency Cash Program? Kon kon raqam le sakta hai? apply kaise karen??
ye wo chand sawlaat hain jinka jawab har koi janna chahta hai aaj is post mein main aap ke sab sawalon ka jawab dunga.

Ehsaas Cash Emergency Program Kay Tehat SMS Service Ka Ijra

Wazeer e Azam Imran Khan ne SMS service ka aghaz kar diya SMS service k tehat ehal afrad ko itla di jaye gi ghareeb aur pissay hue tabaqat ki muawnat k liye Prime Minister of Pakistan Imran Khan ne is scheme ka aghaz kiya jo shakhs khud ko ehsaas emergency ke tehat ehal samjhta ho wo 8171 par apna Shanakhti Card Number likh kar sms send kare. Ehsaas emergency program mein 4 maah k liye 12000 rupay cash diye jayenge.

Yaad rahe jin khawateen ko Benazir Income Support Program k tehat raqam milti hai wo is program mein hissa nahin le sakte agar koi shakhs ya uske biwi bachay mahana 1000 rupay ka easy load karte ya unme se kisi aik kay naam par koi vehicle yani gaari registered hai to wo bhi ehsaas program mein registered nahin hoga. Jin khawateen ko talaq ho chuki hai jo bewa hain agar inke sabqa shohar ka passport bana ho to wo bhi ehsaas program mein shamil nahi hoga. Jo shakhs khud ya biwi bachon mein se koi sarkari mulazim hoga uska naam bhi ehsaas program mein registere nahi hoga.
Agar kisi shakhs ka passport bana ho uske maa baap biwi bachon mein se kisi ka passport bana ho to wo ehsaas program mein registered nahi ho sakta. Jin govt. se retired afraad ko mahana pension milti hai inka naam bhi ehsaas program mein registered nahi hoga. Jinke bank account mein 25 hazar rupay ya is say zayed raqam hogi wo bhi ehsaas program mein shamil nahi hoga. Jin logon ko 8171 par apna ID Card send karne k baad ye msg receive ho kay " Baraye Meharbani Ehsaas Emergency program ki registration k liye apne mutaliqa intzamiya se rabta karen" wo ehsaas program mein shamil nahi ho sakta jin ko ye message aye k " Aap ko jald agaah kiya jaye ga k aap k walid ya walida ehsaas emergency program k liye ehal hain raqam k hasool k liye ye gharana ehal aur isko ehsaas program k tehat 12,000 rupay milenge.

احساس ایمرجنسی کیش پروگرام کے تحت ایس ایم ایس سروس کا اجراء



وزیراعظم عمران خان نے ایس ایم ایس سروس کا آغازکردیا.ایس ایم ایس سروس کے تحت اہل افراد کو اطلاع دی جائے گی.غریب اور پسے ہوئے طبقات کی معاونت کیلئے وزیراعظم نے اس سکیم کا آغاز کیا.جو شخص خود کو احساس ایمرجنسی کے تحت اہل سمجھتا ہے وہ 8171 پر ایس ایم ایس کرے.احساس ایمرجنسی پروگرام کےتحت 4 ماہ کیلئے 12 ہزارروپے دیئے جائیں گے.وزیراعظم کی سرپرستی میں عوامی مفاد کے منصوبوں کا آغاز ہوتا رہے گا:
احساس پروگرام میں رجسٹرڈ ہونے کیلئے اپنا شناختی کاررڈ نمبر بغیر ڈیش کے 8171 پر ایس ایم ایس SMS کریں مستحق خاندان کو 12 ہزار روپے ملیں گے
یاد رہے جن خواتین کو بےنظیرانکم سپورٹ پروگرام کی رقم ملتی ہے انکو وہ رقم اب پچھلے 9 مہینوں سے احساس پروگرام سے ملتی ہیں لہذا ان کا گھرانہ ایس ایم ایس نہ کرے
اگر کوئی شخص یا اسکی بیوی یا بچے ماہانہ ایک_ہزار روپے کا ایزی_لوڈ کرتے ہیں یا ان میں سے کسی کے نام پر گاڑی رجسٹرڈ ہے تو وہ بھی احساس پروگرام میں رجسٹرڈ نہیں ہوگا

جن خواتین کو طلاق ہوچکی ہے اگر ان کے سابقہ شوہر کا پاسپورٹ بنا ہو تو وہ بھی احساس پروگرام میں شامل نہیں ہوگا
جو شخص خود یا بیوی بچوں میں سے کوئی سرکاری ملازم ہوگا اسکا نام بھی احساس پروگرام میں رجسٹرڈ نہیں ہوگا
اگر کسی کا شخص کا پاسپورٹ بنا ہو یا اسکے ماں باپ اور بیوی بچوں میں سے کسی کا پاسپوٹ بنا ہو تو وہ احساس پروگرام میں رجسٹرڈ نہیں ہوسکتا
جن افراد کو ماہانہ پنشن ملتی ہے انکا نام بھی احساس پروگرام میں رجسٹرڈ نہیں ہوگا
جس کے بینک_اکائونٹ میں 25 ہزار یا زائد رقم ہوگی وہ بھی احساس پروگرام میں شامل نہیں ہوگا
جس کو یہ مسیج آئے گا کہ
برائے مہربانی احساس ایمرجنسی پروگرام کی رجسٹریشن کے لئے اپنے متعلقہ ضلع انتظامیہ سے رابطہ کریں.
وہ احساس پروگرا میں شامل نہیں ہوسکتا
جس کو یہ مسیج آئے گا کہ
‏آپ کے والد یا والدہ احساس ایمرجنسی پروگرام کے لئے اہل ہیں. رقم کے حصول کے لئے بذریعہ SMS آپ کو جلد آگاہ کیا جائے گا.
یہ گھرانا احساس پروگرام کیلئے اہل ہے اور اسکو 12 ہزار روپے ملیں گے.

Ehsaas Emergency Cash Program Mein Online Apply Karne Ka Tarika


Hukumat ne Ehasass emergency cash program k liye online website bhi khol di hai jis par visit karke aap apni registration online karwa sakte hain registration karwane ke liye step by step tarika screenshots k sath bataya gaya hai jisay aap follow karke ehsaas emergency cash support mein apni registration karwa sakte hain.

Step:-1 Sab se pehle is link ko visit karen. Ehsaas Cash Program Apply Online Website Link jab aap is link ko khulen ge to aap k samne Ehsaas Program ki website open ho jayegi jesa k aap neeche screenshot mein dekh sakte hain.

prime minister ehsaas program online apply
Ehsaas Emergency Cash Program Website Veiw


Step:-2 Ab neeche diye gaye form mein jahan par likha hai apna shanakhti card number darj karen wahan aap ne apne ID Card ka 14 hindson wala number enter karna hai.



How To Apply Prime Minister Ehsaas
Fill The Form Enter Your ID Card Number and Verification Code

Step:-3 Ab aap ne jahan par likha hai tasveer mein diya gaya code likhen wahan par aap ne khali box k andar box k samne nazar aane wala code enter karna hai jesa k is screenshot mein "KB5" likha hua nazar aa raha hai aap ko lekin aap k liye different hoga.

Step:4 ID Card number aur Verification code enter karne kay baad "Tasdeeq Karen" par click kar dain apke data ko process karke aap ko bataya diya jayega kay aap ki darkhawast mosol ho chuki hai ya phir aap ki screen par ye message show hoga.
pm ehsas program how to apply in urdu
Application Submitted Successfully

"Ehsaas emergency cash program mein andraaj ke liye apni zaati malomat faraham karne ka shukriya aap ki zaati tafseelat ki tasdeeq k baad aap ko is program ka hissa banaya jayega aap kuch din baad 8171 par SMS bhej kar apne andraaj ki jaanch bhi kar sakte hain."


Agar aap ko apply karne mein koi masala pesh aa raha hai ya phir koi pareshani ho rahi hai jo bhi MSG receive hota hai aap comment mein likh kar mujhse puch sakte hain main aap ki rehnumai karunga innsha'Allah.
Next
This is the most recent post.
Previous
Older Post

Post a Comment

 
Top